Saturday, 7 April 2012

Safar Bhut Baaki hai abhi ..

Chai Ka pyala or sadak Ka sanaata...
Teri yaadon k saath mera dil ..
Safar bhut baaki hai abhi

Faasle dil tak k tai kar liye hai ..
Faasle par darmiyaan riwatyon k hai ..
Yun to hai Chand lamhon ki duri ..
Safar bhut baaki hai abhi

Jab chala tha Teri raah per ..
Ptaa nahi thi diwanagi ki inthaa..
Pao main hai chaale per chala jata hu ..
Safar bhut baaki hai abhi

Har kadam per ek manjil si milti jaati hai ..
Har ek pal main ek nai khushi Ka ehsaas..
Dil phir bhi bechain hai ..
Safar bhut baki hai abhi

Ishq ki dastan hai pyaare ..
Dekh kar sambhal kar ,Kehta hai dil ..
Sochne Ka waqt khaa ..
Safar bhut baki hai abhi

Khud se hi swaal karta hu ..
Khud hi jwabon ki taalash main hu ..
Jitna piyo utni badhti hai yeh pyaas..
Safar bhut baaki hai abhi

Nasamajh lagta hai dil kabhi ..
Kabhi tasalli se samjhata bhi hai ..
Kuch wadon k liye apne armano ko marna..
Safar bhut baki hai abhi

Alaav jalaya hai apne kuch sapno kaa..
Jab haqiqat ki thand se wasta pdaa hai..
Pal bhar haath nahi taape..
Safar bhut baki hai abhi

Aisa nahi ki Teri raah mushkil bhut hai ..
Par piche chuta raaste Ka moh bhut hai ..
Ruk Jana ab mumkin hi nahi..
Safar bhut baki hai abhi

Aisa nahi hai k tanhai se pehchaan nahi hai..
Par ab darr lagta hai uske naam se..
Jaroori hai sath tumhara par ..
Safar bhut baaki hai abhi

Bhut se khwab dekhe hai ..
Bhut door tak tere sang chala bhi hu ..
Aakhie khulne per is aag main jlaa bhi hu ..
Safar bhut baki hai abhi

Milna to chahta hu main tujhse ..
Per khud ko rokna bhi pdaa..
 Kuch faislon ko waqt ki aanch main pakne do ..
Safar bhut baaki hai abhi

Hisab to humie rakha hai khuda k karmo kaa...
Woh kya faisla sunayega..
Kismat Ka likha bhi badal loonga..
Safar bhut baaki hai abhi

Guzarish hai meri ...
Tabah bhi ho jao chahe...
Manjil aane tak tum bas hausla rakhna ..
Safar bhut baaki hai abhi

Kasam vaada Jo mujhse kiya
woh sab yaad hai tumko..
Apne se kiya waada tum nibhao to maane..
Safar bhut baaki hai abhi

Umeedon Ka daaman thaam k..
sapno ki pagdandi per chalna mushkil bhut hai ..
Us par nafrat Ka bojh sir per rakhna ..
Safar bhut baaki hai abhi

Yun Jindagi Teri kami mahsoos har pal hoti hai..
Kuch jajbaton ko shabd nahi dena meri aadat hai..
Janti ho tum bhi..
Safar bhut baki hai abhi

Ishraon main baatie khoob ki tumse ..
Yun bhi bhut kuch keh diya Maine ..
Naa jaane kitni baatie abhi baaki hai ..
Safar bhut baaki hai abhi

Maalum hai Tera rutba bhut ooncha hai ..
Or mukaam mera kuch bhi nahi ..
Kisse ki baatein sab sach hongi ..
Safar bhut baaki hai abhi

Ijjajat gar do toh chu kar dekh le tumko..
Himakat Karu irada toh nahi ..
Tumhe paa lene Ka janoon , kya kahu..
Safar bhut baaki hai abhi

Sach kahu to saaf saaf kuch nahi dikhta..
Kohre ki chadar si lipti hai ..
Tapish se pyar ki mausam badlna hai ..
Safar bhut baaki hai abhi

Dilwalon ko garoor bhut hota hai apne faislon Ka..
Jo keh diya woh karna hi hota hai ..
Chahat se junoon tak ..
Safar bhut baaki hai abhi

Yun to dil e nadan ko samjhana hai mushkil..
Per is jor ajmaish main jeetna hi hai ..
Khwabon se haqiqat tak ..
Safar bhut baaki hai abhi

Tum ho to pehchaan hai khud se ..
Duniya ki bheed anjaan hai mujh se ..
Aaine main dikhne wale shakas se baatie ..
Safar bhut baaki hai abhi

Kuch paya .. Bhut kuch khoya ..
Kyon hasaa main jab dil main roya ..
Mere kehne or aapke sunane Ka farq..
Safar bhut baaki hai abhi

Dil ki baton ko samjhta nahi main..
Soch se apni anjaan bhi hu ..
Pata nahi se jaanta sab hu main ..
Safar bhut baaki hai abhi

likha tere liye bhut kuch hai main ...
jo abhi tak maine bhi padha nahi ...
shabad se kagaj tak ...
safar bhut baaki hai abhi

Sunte ho gar tum meri khamoshiyan ...
Phir kyu aansu bahate ho meri baaton pe ...
sunane se Samajh Ka ..
Safar bhut baaki hai abhi

Tum sab jaante ho ...
Raah hai nahi Assan yeh bhi maante ho ...
Soch se koshish Ka ...
Safar bhut baaki hai abhi

Teri Narm ungaliyon ki chuan ..
Woh Teri bhini si khusboo ..
Mrig trishnaa se Milan Ka ..
Safar bhut baaki hai abhi

Waise to baatein karne ko Bahut hai ..
Or dil k armaan bhi kam nahi ..
Alfazon k shor se khamoshi ki jubaa ..
Safar bhut baaki hai abhi

Jude nahi hai tujhe armaan mere ..
Juda toh yeh jaan bhi nahi ab ..
Sanson se dhadkan Ka ..
Safar bhut baaki hai abhi

Janoon mera hai Jo sapna Tera hai ..
 Fasna hai ya suada khara hai ..
Beskimti se anmol hone Ka ..
Safar bhut baaki hai abhi..

Khawab Kai dekhe hai jaagti aakhon se ..
Rang Kai bhare hai dhundli tasweeron main ..
Khawabon se haqiqt Ka ..
Safar bhut baaki hai abhi

Maine socha bhut hai tere bare main khyalon main ..
Khaa jyada kuch nahi ..
Soch se alfaaz Ka ..
Safar bhut baaki hai abhi

Bhut khoobsurat hai aakhie Teri ..
Swaal bhi bhut karti hai ..
Inki gehrai main wajood ki talash..
Safar bhut baaki hai abhi

Yun to dil e nadan ko samjhana hai mushkil..
Per is jor ajmaish main jeetna hi hai ..
Khwabon se haqiqat tak ..
Safar bhut baaki hai abhi

5 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. :-) Awesomee Varun.... Loved it..

    ReplyDelete
  4. Bahut se khwaab dekhe hai ..
    Bhut door tak tere sath chalna ka armaan bhi hai ..
    Khawabon se haqiqat ka...Safar bhut baki hai abhi... :) :)

    ReplyDelete
  5. Allah is musafir ko be-inteha hausla bakhshein.. Aur manzil ki pyaas bujhne na dein.. Amen!!

    ReplyDelete